Pages

Tuesday, December 4, 2012

Kuch Sheer........

Paane se khone ka maza aur hai,Band aankhon se dekhne ka maza aur hai.
Aansoo bane lafz aur lafz gazal,Teree yaadon ke saath jine ka maza kuchh aur hai.


Vo hamaare naheen to kya gam hai,Ham to unhee ke hain ye kya kam hai.
Na gam kam hai na aansoo kam hai,Dekhte hain rulaane waale men kitna dam hai.


Aansoo ko aankhon kee dehleez par laaya na karo.
Apne dil kee haalat kisee ko bataaya na karo.
Log muTThee bhar namak liye ghooma karte hain.
Apne zakham kisee ko dikhaaya na karo.


Mere marne ke baad ai dost aansoo mat bahaana.
Agar yaad aaye meree to seedhe upar chale aana.
Agar wahaan men na dikhun to samajh lena tu narak men hai.


Dil ko dhadkna tune sikhaaya,Dil ko taRapna tune sikhaaya,
Aankhon men aansoo kahin chhupe the,Unko jhalakna tune sikhaaya.


Har ek muskuraahaT mus'kaan naheen hotee,
Nafrat ho ya mohabbat aasaan naheen hotee,
Aansoo gam ke or khushee ke ek jai'se hote hain,
Inkee pahachaan aasan naheen hotee..


Dostee karo to dhoka mat dena, Dus'ron ko aansoo ka tohfa mat dena,
Dil se roye koee zind'gee bhar, Aisa kisee ko mauqa mat dena..


Meree rooh kee haqeeqat, Mere aansoo se puchho.
Mere kah'kahon kee duniya, Mere tar'juman naheen hai.

Ek din hamaare aansoo ham se poochh baiThe,Hamen roz roz kyon bulaate ho?
Ham'ne kaha, ham yaad unhen karte hain, Tum kyon chale aate ho?


Aansuon ko bahut samajhaaya tan'haai men aaya karo,
Mah'fil men hamaara mazaak na udaaya karo,
Ispar aansoo taRap kar bole.....
Itne logon men aapko tanha paate hain isliye chale aate hain.

Bewafaai kabool hai wafaai ke liye,Aansoo kabool hai hansee ke liye,
Ham to moh'taaz hai aapke pyaar ke,Dushman kabool hai aapkee dostee ke liye


Bahoot tamanna thi, Pyaar men aashiyan banaane ki,
Bana chuke to lag gayee nazar zamaane ki.
Usee ka karz hai jo aaj hain aankhon men aansoo,
Saza milee hain hamen bas muskuraane kee.


Tujhe dekhe bina teree tasweer bana sakta hoon,
Tujh'se mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meree dostee main itna dam,
Apnee aankh ka aansoo teree aankh se gira sakta hoon.


Aankhen teree bahe to  aansoo mere ho,
Saan'se teree chale to dhadkan meree ho,
Zind'gee se yahee dil-ai- tammana hai ki,
Dhadkan teree ruke aur maut meree ho...


Dil ka zakhm zubaan par laaya naheen karte,
Ham apnee aankhon se aansoo bahaaya naheen karte,
Zakhm kitne hee gah're kyon na ho,
Ham apne honton se muskuraahaT haTaaya naheen karte.


Tan'haai hai pyaar main,
Bar'baadee hai pyaar main,
Aansoo hai pyaar main,
Bebasee hai pyaar main,
Gam bhee hai pyaar main,
Haar bhee hai pyaar main,
Hamen sab pata hai
Lekin kya karen ham bhee hain pyaar main.


Aansoowon se palak bhigo leta hoon,
Yaad teree aatee hai to ro leta hoon.
Socha ki bhoola doon tujhe mager,
Har baar faisla badal deta hoon.

No comments:

Movie Review - Stree 2

I tried my hand in reviewing the movie here, done the same thing in the past too, if you like this and encourage me then i can plan in futur...