Pages

Showing posts with label Jab khud Pe Kabu Na Raha. Show all posts
Showing posts with label Jab khud Pe Kabu Na Raha. Show all posts

Wednesday, March 19, 2014

Ek Bhangedi ki Aatmkatha (17/03/2014 23:07PM)

Aaj to bawal ho gaya. Bhang ka nasha kya hota hai aaj pata chala, dimaag ki sari nase phatane lagi thi, itna tez chal raha tha dimag ki kah nahi sakate, koi lagam nahi, koi sar pair nahi. Lag raha tha jindgi yahi khatam ho jayegi,  abhi bhi apane kiye pe hansi aa rahi hai, ye nahi samajh pa raha hoon ki sahi me soch ke hans raha hoon ya Bhang ka nasha abhi bhi hai. Akansha(My Wife) bhi grasit hai bachche(Babies) ko kaise doodh pilate hai sikha rahi thi muhje, abhi Rahul(My Younger Brother) aaya tha dekhane ki sab thik hai na. 

Sabko tension ho gai hai, Rishi(My 2nd Younger Brother) bhi khumari(Hang Over) me hai, Anamika(Rishi's Wife) bhi past(too in same state as Rishi) hai but mujhe sabse thik wahi lag rahi hai hum sab me ki usi ko nahi chadi hai nahi to baki sab nashe me hai, Mudit(My 3rd Younger Brother) alag apani duniya me mast hai, sare pine walo ka bura haal hai. 
Maine to khoob kohram machaya. Hansa, roya, pareshan hua aur kiya. Ab ye hamesha yaad rahega aur jab, jab hansi aayegi lagega ki abhi bhi nasha barkarar hai. Kab puri tarike se normal feel karunga pata nahi, khana bhi khoob khaya hai aaj aur vomit bhi khoob ki hai, bahut chah kar bhi khud pe control nahi ho raha tha. Drawing room ka natak, bathroom me natak, bahar se ghar me aana, nahate samay rona, apane aap ko pitna, nal ka dur chale jana, kejariwal ki maya, ghar me chor na aa ajye ki chinta, ivy ki chinta, family ka tension, ivy ka admission,  phir bina nahye sab ka so jana. Gazab din bita aj ka, abhi bhi chadi hai lagata hai, rukane ka man nahi kar raha, lag raha hai ki likhata hi jau, sab kuch likha dalu kal pata nahi kuch yaad rahega ki nahi. Bekar me kal Sabko leave leni pagedi.
Kitana bola aaj main, baap re, Rishi bechara kaise bardast kiya. 
Ab rishi bhi nashe me hai, par chalo sab so jayenge to thik ho jayenge. Main akela jag raha hoon, sab so gaye. 
Lag raha hai ki main thik hoon par kuch to locha hai, so jao amit shrivastava, so ke hi thik hoga. Kya yaar ab to kabhi bhool se bhi haath nahi kagagunga, dekho phir hansi aa rahi hai. Par subah jitani tension nahi hai. Sab kuch control me hai. Achcha hua tatti peshab(Loose Mothion n all) nahi hua nahi to phajihat ho jati, khali vomit me hi baat nibat gai. 
Rishi bechare ko apane dost ko gate se hi lautana pada hum logo ke chalate. Sab pagalaye jo the us samay. Badi tez chadi mujhe, jiska viswas main nahi kar pa raha tha. Chah kar bhi nahi kar pa raha tha, main itana strong hoon ye mujhe kaise ho sakta hai, but hua to mujhe hi tha. Chehre(Face) ki sari nase(Muscles) phatne lagi thi. Rishi se Maine bola ki 32 manspeshiyo ka aaj pata chal gaya. 
Ivy ne kaise control kiya hoga, ma(Mom) baap(Dad) dono pagla gaye the. Uska chehra bhi yaad aa raha hai, bechari na ro paa rahi thi na hans, use kuch samajh hi nahi aa raha tha. Dimag dekho, maine rishi se ye bhi kaha bahar mat nikalana kahi main kud na jau. Bachcho ko bhi apane se dur kar raha tha. Ab to kuch aur bacha nahi likhane ko sayad, rishi ne video banai hai, par bahut kam der, chalo utna hi kaphi hai, yaad karne k liye. 
Ok now stop,  time to sleep
Bye n gud night, new morning with new every one.


Note - Really if i don't have brother's like Rishi, Mudit and Anamika, it will be very tough for us to recover and back to senses, even still i m unable to think about that situation without them n their care. A BIG BIG Thanks is also a very small returns to them for their care. Now somewhere i feel myself lucky.

भय ही प्रबल है।

दो उल्लू एक वृक्ष पर आ कर बैठे। एक ने साँप अपने मुँह में पकड़ रखा था।  दूसरा एक चूहा पकड़ लाया था।  दोनों जैसे ही वृक्ष पर पास-पास आकर बैठे।...